Bollywood’s Big B, Amitabh Bachchan has not only inspired and motivated people through acting but also poems.

Here’s the list of Amitabh Bachchan’s Inspirational Poems:

1.Girna bhi acha hai,

Aukat ka pata chalta hai.

Badhte hai jab haath logon ke uthane ko,

Apno ka pata chalta hai.

Jinhe gussa aata hai,

Who log sachche hote hai,

Maine jhooton ko aksar,

Muskrate dekhta hai.

Seekh raha hoon ab main bhi

Insano ko padhne ka hunar,

Suna hai chehre pe kitaabon se

Zyada likha hota hai.

2. Jeevan path jatil hai ye,

Kaalchakra kathin hai ye,

Pag pag pe bhed baav hain,

Rakt-ranjit paanv hain.

Janam se kisi ke sar pe vansh chaanv hai,

Jhooth ke rath pe sawaar daakuon ka gaanv hai.

Kisike paas hai chal-kapt,

Kisi ka roop ka vardaan hai,

Ye soch ke mat baith ja.

3.Samay chalte mombattiyan jal kar bhuj jaayengi,

Shradha mein daale pushp jalheen murjhaa jaayenge,

Swar virodh ke aur shanti kiye apni prabalta kho denge,

Kintu nirbhayta ki failaayi hui agni hamaare hriday

Ko prachalit karegi.

4.Mutthi mein kuch sapne lekar,

Bharkar jaibon mein aashayein,

Dil mein hain arman yahi,

Kuch kar jayein, kuch kar jayein.

Suraj sa tej nhi mujh mein,

Yahin Deepak sa jaltaa dekhogey,

Apni had roshan karne se,

Tum mujh ko kab tak rokogey.

Iss jug main jitney julam nahin,

Utne sahene ki taakat hai

Danav ke bhi shor main rehkar,

Sach kahene ki aadat hai.

Main saagar se bhi gahera hun,

Tum kitene kanker fainkogey,

Chun chun kar aage badunga maen,

Tum mujhko kab tak rokogey.

Keep reading SuccessYeti.com

Also Read: 5 Best Places In Mumbai From Where You Can Pursue Hotel Management Courses